Google

Friday, May 25, 2018

What is BHAV CHALIT KUNDALI ?

BHAV CHALIT KUNDALI  
Jyotish ke bahot students is bat se confuse ho jate hai ki konsi kundali se bhavishya dekhna chahiye. Janma Lagna se ya Chalit se ?  Aj bhi kuch aise jyotishi hai jo sirf Chalit kundali se hi falaadesh karte hai.

  Ek bat hamesha dhyan me rakhe ki  Janma Lagna janma ke samay ka akaash ka photograph hai. Janma Kundali ka matalab Janma ke samay  konsi Rashi lagna me udit ho rahi hai or konsa Grah konsi rashi me us wakt chal raha hai.

Janma kundali me is tarah 12 bhav me 12 Rashi a jati hai or sath sath 9 Grah bhi !  Maan lo ki Mesh lagna ho to chaturth Bhav me karka Rashi ayegi or karka Rashi me agar Mangal  ho to ham kahenge ki is kundali me chaturtha bhav me Mangal hai.

Ap ye bhi jante hi hai ki Har rashi 30 degree ki hoti hai. Is 30 degrees me Grah kahi bhi ho sakta hai.  Isi taraha Lagna ki degree bhi 0 se 30 degree  tak kahi bhi ho sakti hai.  Bas yahi se Chalit chakra ka role shuru hota hai.

Maan lo ki kisi ka Janma lagna karka rashi ki 1 degree pe hai or usme Surya 28 degree ka hai to ham yehi kahenge na ki Surya Lagna me hai ya pratham bhav me hai. Right ? Nahi ye wrong hai.

Lagna ki jo degree hoti hai uske age piche 15 degree tak vo bhav ka vistar hota hai. Matalab Karka lagna agar 1 degree ka ho to pratham bhav ka vistar pichali rashi Mithun ke 16 degrees se Karka ke 16 tak rahega. To Surya agar 28 degree ka hai to vo dusare bhav ka fal dega. Lagna ka nahi.  Or agar Mithun me koi Grah 20 degree ka ho to vo actually Lagna bhav ke vistar me ayega. Matalab Chalit kundali me vo Lagna bhav me a jayega.

Kehane ka matalab jo Lagna ke ansh yani ki degree hai vo mid point hai,  MADHYA BINDU  hai. Starting point nahi hai.

Chalit kundali Lagna bhav or Dasham bhav ki degree ko dhyan me rakh ke banai jati hai lekin vo mathematical details me ham nahi jayenge.

Chalit kundali me ek bat dhyan me rakhe ki koi bhi Grah agar agale bhav me ya pichale bhav me jata ho to vo rashi nai badalta. Chalit kundali dekh ke kai log ye galti karte hai. Jaise ki Guru mithun me Lagna bhav me betha ho or chalit me dusare bhav me jata ho to Karka me uchch ka ho gaya aisa mat sochna. Rashi vohi ki vohi rehti hai. Sirf bhav badala hai aisa samajna.

7th bhav me agar Mangal ho to Mangali kundali banti hai par chalit me 6th me chala jata ho to Mangal dosh nai rehta. Janam kundali dekhte wakt hamesha Chalit pe najar AVASHYA dalni chahiye nai to falaadesh galat ayega.

Grah dusare bhav pe agar drishti karta hai to vo drishti Rashi ke hisab se karta hai. Chalit bhav ke hisab se nahi. Jaise ki Tula ka Mangal saptam me ho to vo dasham bhav ko makar rashi me uchcha drishi karega. Chahe vo kitane hi ansha  ya degree ka ho. Vo Chalit me 6th house me jaye to bhi Drishti to Janam lagna ke hisab se hi dekhni chahiye.

Agar 2 Grah alag alag Rashi me pas pas ke bhav me ho or Chalit me agar vo ek sath a jaye to dono ki yuti hai ya conjuction hai aisa mat samajna kyoki Rashi alag hai to yuti nai mani jati par ha us bhav me vo dono Graho ki asar rahegi.

Maan lo ki Mangal 6th house me hai or Shani 7th house me. Ab Chalit me vo dono 7th me jud jate hai to Rashi alag hote hue bhi vo 7th bhav ko disturb kar denge kyu ki dono ka prabhav 7th me a jata hai.

Mere hisab se Chalit kundali samjane me itani charcha paryapta hai !!!

No comments: